Zarb e Kaleem 005

abrahim_10_24_2016

La Ilaha Illallah

Khudi ka sirr e nihan La Ilaha Illallah
Khudi hai taeg, fasan La Ilaha Illallah

Ye dour apne baraheem ki talash mein hai
Sanam kudah hai jahan, La Ilaha Illallah

Kiya hai tu ne mataa e ghuroor ka soda
Faraib sood o zayan, La Ilaha Illallah

Ye maal o doulat e dunya, ye rishta o pewand
Butan e weham o guman, La Ilaha Illallah

Khird huwi hai zaman o makan ki zunnari
Na hai zaman na makan, La Ilaha Illallah

Ye naghma fasl e gul o lala ka nahin paband
Bahar ho ke khazan, La Ilaha Illallah

Agarche but hain jamat ki astinon mein
Mujhe hai hukm e azan, La Ilaha Illallah

-Iqbal

Advertisements

Leave a Reply

Fill in your details below or click an icon to log in:

WordPress.com Logo

You are commenting using your WordPress.com account. Log Out /  Change )

Google+ photo

You are commenting using your Google+ account. Log Out /  Change )

Twitter picture

You are commenting using your Twitter account. Log Out /  Change )

Facebook photo

You are commenting using your Facebook account. Log Out /  Change )

w

Connecting to %s

WordPress.com.

Up ↑

%d bloggers like this: